Title: Who sham mujhe yaad aye Page: 18
Chord:
Source: Kamal Taj - Shahadat-E-Ishq - U.S.A.
_______________________________________________________________________
Alaap: Kya khush nasib ye com hai, jo Ali se
muhobat karte hai
Mowla Ali ke naam per, ye sabh kuch nisar karte
hai
Tan man aur dhan ke saath, waqt kurban karte
hai
Karim Shah ke naam per, who duniya mein ujala karte
hai
Who sham mujhe yaad aye, jis sham ko Mowla
aye
Mein gaata raha, leherata raha
Anmol khushi ke tarane
Who sham mujhe yaad aye, jis sham ko Mowla
aye
Mein gata raha, leherata raha, anmol khushi ke
tarane
Who sham mujhe yaad aye
Mehefil who kaisi saji thi, Mowla ki masti har dil me
thi* (2)
Who takhta pe akar baithe
Sab ankhen, khushi se jalak ne lagi
Who hanste rahe, who luta te rahe, anmol khushi ke
khazane
Who sham mujhe yaad aye, jis sham ko Mowla
aye
Mein gata raha, leherata raha
Anmol khushi ke tarane, who sham mujhe yaad
aye
Hai Taj ke dil ki tamana, mera ishk bhi, rang lata
rahe ** (2)
Mein apni khudi ko mitadun
Tere kiranon mein, kho jata rahun
Tun shaman meri, banjata rahe, mein ban patang
urdjaun
Who sham mujhe yaad aye, jis sham ko Mowla
aye
Mein gata raha, leherata raha, anmol khushi ke
tarane
Who sham mujhe yaad aye
(End with music)
____________________________________________________
___________________