TUNE: dUNIYAn ME HASINO SE KABHI dIL NA LAGANA (QAWALI)
JUMO YARO NACHO GAVO AWSAR SUHANA.
SAndESH AYA KARIM SHAH KA, KHUSIAn MANANA.
PAYGAM BHEJE MAWLANE, AMERICAN JAMAT KO.
MAHER KARKE AYEnGE, dIdAR DENE KO.
dEKH NE AYENGE, APNE RUHANI BACHOn KO.
LAYEnGE SATH APNI, PYARI BEGAM KO.
HAR MOMINO KE dILME YE, KHUSHIYAn BHARI HAI.
JAMAT KE HAR CHAHERE PER, MUSKAN UBHRI HAI.
dIdAR PYASI AnKHO ME, AASHA KI LAHERI HAI.
FARMAN SUN NE KANOME, ATURTA GAHERI HAI.
HAYRAN HAI .... HAYRAN HAI ZAMANA KE.
YE KAISA SAMBAnDH HAI.
SAndESH AYA KARIM SHAH KA, KHUSIAn MANANA ------------------------ 1.
GAFIL HO JO dUNIYA ME, MAZHAB KO KYA JANE.
TARIF SACHE dIN KI VO KAB HAI PAHECHANE.
dIN DHRAM KI BATEn SAMJE, KISSE PURANE.
MATLAB SE HO GAYE AnDHE, YE SAB PAGAL dIWANE.
RAZ YARO NAdANO SE KAHETEn NAHIn HAI.
ZEVER HAATH CHOROn KE TO dETEn NAHIn HAI.
IMAN AUR MAZHAB KI TO KIMAT BA(D)I HAI.
NOORANI PAHECHAN KI TO LIJAAT BA(D)I HAI.
KHALIQ NAHO ... KHALIQ NA HO, TO KHALQAT KAISI.
YE KAISE BAHANE.
SAndESH AYA KARIM SHAH KA, KHUSHIAn MANANA ------------------------- 2.
SUN LO YARO KAHETA HUn, YE KISSA NAHIn HAI.
SACHA BHEd SARJAN KA, IMAM SAHI HAI.
ISMAILIO NE PA LIYA, AGA KARIM HAI.
AAL-E-NABI AULAd-E-ALI, NOOR-E-PAnJTAN HAI.
NOORAN ALA NOOR KI TO SHAN BA(D)I HAI.
DEKHO ALI KE LAAL KI TO AAN BA(D)I HAI.
MURIdOn NE MAHER SE, YE NYAMAT PAYI HAI.
MUSHQIL KUSHA KI RAHEMAT, MURIdOn PE CHHAYI HAI.
PAHECHAN LO ... PAHECHAN LO AGAR TO,
NOOR ME NOOR MIL JAVO.
SAndESH AYA KARIM SHAH KA, KHUSIAn MANANA ------------------------- 3.
JUMO YARO NACHO GAVO AWSAR SUHANA.
SAndESH AYA KARIM SHAH KA, KHUSIAn MANANA.